Sunday, 30 December 2012

Apni ye aadat nahi..


Apne Saaye Se Bhi Ashkon Ko Chupa Ker Rona,

Jab Bhi Rona Ho To Chiragon Ko Bhuja Ker Rona,

Log Parh Letey Hein Chehrey Pe Likhi Sab Baatein,

Bara Mushkil Hai Logon Se Chupa Ker Rona,

Hath Bhi To Wo Shakhs Mila Ker Na Gaya,

Jis Ko Chaha Tha Seeney Se Laga Ker Rona,

Yaad Aati Hai To Tanhai Mein Rou Deta Hon,

Apni Ye Aadat Nahi Logon Ko Dikha Ker Rona..!!

No comments:

Post a Comment